Ajj ke Advance Yug me Google Drive, Google ki Ek Service Hai Jisme Hum Apna online Data Store Kar Sakte hai. Jaise Ek Computer Me Drives Hote hai Jinsme hum Offline Data Rakhte Hai aur waqt Aane Par unka Upyog bhi Karte hai. Esi Prakar ki Ye Ek Google service Google Drive hai. Ye Ek Online Storage Hota hai Isme Hum Koi bhi Personal Data save Kar Sakte hai Aur Use Kaam Padne Par Use Bhi Kar Sakte hai. Is Drive Me Hum koi Memories Image And Videos Save karke Rakh sakte hai Jo ki Future Me Kaam Aa Sakti hai. App Agar Koi Business Ho to App Online Presentation File rakh sakte ho. Google Drive Me Word File aur Excel File Bana Bhi Sakte Aur Save kar Sakte Hai. Matlab ye Ajj Ke Samay Me Har Person ke Liye Fully Helpfully Sabit Hogi
Google Drive Kaise Use Karte hai
- Google Drive Ka Upyog karne Ke Liye Sabse Phele Apko Ek Google Ya Gmail Account Ki Jarurat Padegi. Agar Apka google account Nhi hai To Google Account Create Kar Sakte hai* Without Mobil Number Google Account Kaise Banate Hai
- Agar Apke Pass Google account hai to App google drive Ka Use Kar Sakte Ho. Uske Liye Apko Website Ya Smartphones Me Google Drive App Par Ja Sakte hai.
- Ab App Jis File Ko Google Drive Me Save Karna Chah Rhe hai. To File ko File Manager Me Select Kijiye. Agar koi Image ya video hai to Gallery Me Jakar Select Kar sakte hai. Aur Share With Ke Option Par Click Karke Usme Se Google Drive Ka option Select Karna hai. Isse File Google Drive Cloud Storage me Upload Hone lagegi.
Uploading file in Google drive - Upload Hone ke Bad App Is File Ko kahi bhi Kabhi Bhi Dekh Sakte hai. Aur Waqt Aane Par iska Upyog Kar Sakte Hai.
Google Drive Me App 15GB (Gigabytes ) Tak Ka Free Storage Hota hai Jo Bahut Bada hai. App chahe to Isse Upgrade Bhi Kar Sakte hai.
Google Photos in Google Drive:
Google Drive me Google Photos bhi Hota hai . Jisme Hum Koi Bhi Photo Click kar Automatic Usse Google Photos me Upload karwa Sakte hai, Isme Smartphone App Me Service Enable Karni Hoti hai. Aur Sync option Enable Karna Hota hai. Ye Google ki Service Very usefull Hai Jo future me Waqt Aane Par Upyog Me Liye jaa Sakte hai .
Whatsapp Backup in Google Drive:
Me Post Apko kaise Laga, App Comment Kar Sakte hai Aur Ek Share Kisi Dusre Person ki Help Kar Sakta hai. Please Share Kariye:
Thanks for Reading
Husam Haidar Chishti
November 19, 2016 at 2:08 am
Google drive pe koi cheez upload karne ke baad agar humara device kharab ho jaye to hum use kisi doosre device se dekh sakte hai ya nahi ?
Please help…
mahaveer96
November 19, 2016 at 9:42 am
Ha Dekh Sakte hai. Google Drive Online Store hoti hai
Ganesh
February 9, 2018 at 5:57 am
google drive me upload kiye gye audio video ko gmail par login karke files ko dekh hain ya nahi.
Mahaveer Jain
February 9, 2018 at 12:57 pm
G login karne ke bad aap use kahi bhi dekh sakte hai